Friday, January 13, 2012

Bhul gaye woh din!


Bhul gaye woh din,
Jab chain ki gehri neend tum lete the
Sapno me pariyon ko dekha karte the
Ab to neend ana hi mushkil hai
Dimag sochna jo band nahi karta
Raat ko baar baar neend jo khulti hai
Akele rehne mein darr jo hai lagta

Bhul gaye woh din ,
Dard hone se jo jor jor se rote the
Gham doston ko batla ke dil halka jo karte the
Ab to aasuyon ko chupa ke hai rote
Akele tanha hokar chup hi rehte
Aakhein agar bheeg bhi jaaye
To nazrein hata ke dheeme se muska dete

Bhul gaye woh din,
Haarne ke baad bhi jeetne wale ke saath jab haste the
Jeetne wale ka hath pakad kar hi chala karte the
Ab to haarne ke baad maayus ho bathte hai
Lagta hai sab kuch hi haar liya humne
Jeetne wala apne me hi khush rehta hai
Woh mana raha hota hai jashn aur tum hote ho gham me

Bhul gaye woh din,
Pyaar jab kisi ek se hi kiya karte the
Usse paane ke liye puri duniya se lad jaate the
Ab to pyaar ka matlab hi kho chuke hai
Bas saath rehne ko hi pyaar samajh hai baithe
Duriyon se pyaar kam nahi hota hai
Ishq ibadaat hai tum yeh kyon nahi samajthe

Bhul gaye woh din,
Aasmaan me taaro ko dekha karte the
Raat me bahar tehla jo karte the
Ab to yaad nahi sar utha ke aasman kab dekha tha
Duniyan ki is bheed me gum ho gaye hai hum
Kab tumne is raat ki khamoshi ko suna tha
Itne pareshan,uljhe huye kyon ho gaye hai hum

Bhul gaye woh din,
Jab pyaar logo se kiya karte the
Aur cheezon ko istmaal kiya karte the
Ab to pyaar hai hume apni cheezon se
Aur kar rahe hai istmaal logo ko



4 comments:

  1. Amazing lines.......So very beautiful Sheffu :))) You left me speechless <3 <3
    God Bless.....Keep it going dear .......!!!

    ReplyDelete
  2. Thank you so much!It feels great when somebody reads it and appreciate it :)It keeps me motivated :D

    ReplyDelete