Thursday, August 25, 2011

Kaash tum mere hote!


Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Yun hasratein to bahut ki thi humne
bhul gaye the unhe aapko paane ki raah mein
puri kar lete un aadhori khwaishon ko
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Dekhte hai akele us baarish ki boondo ko
hathon se rok lete hai un fuharon ko
bheeg lete aur sama lete aapne aap ko uss baarish mein
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Kabhi soch na paaye aapne aap ke baare mein
tumhe hi to hamesha aapna kaha humne
to iss duniya ki bheed(crowd) mein kho na jaate hum
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Hota ek khush paariwar hamara tumhara
tarashte ek naaya bachpan pyaara
yun akele ped(tree) ki chaav mein na baithein hote aaj
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Laga rahe hai chakkar iss aaspatal(hospital) ke
haar gaye hai sab meri bimari ka karan puch ke
dawaiyon(medicine) ke sahare jee na rahe hote yeh jindagi
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!

Paa lega tumhe koi aur jald hi
par rahoge hamesha mere mann mein hi
dil se paa liya hai saada tumhe
ab nahi kar sakta koi juda tumse hume
ab nahi kahenge yeh kabhi
agar tum hamare hote
Aaj tanha baithe hum sochte hai
kaash tum mere hote!